Yeh pustak "Vaad Vivad" vishay par adharit ab tak ki shreshth aur apni tarah ki pahli pustak hai. Pustak ki lekhika Anita Gaur ne samsamyiki par adharit sabhi vishyon ko pustak me shamil kar un par vistarpurvak charcha ki hai. Vaad -Vivad ke dono paksh vishay ki garahai tatha gunvatta ki drishti se bejod hai. Pustak me shamil pramukh vishyo me se kuch to vartman samaj me vyapt asim bharshtachar tatha badhti mehngai ko lekar sarkar ki bhumika par sawal khade karti hai, dusri taraf Kashmir samsya, lokpal bill, futkar chhetron me videshi pratksh nivesh aur bhartiy bajar jaise samvedanshil aur gambhir Vishay ke dono pakshon ke tark prastut karti hai. Chhatra - chhatraon tatha agami pratiyogi pariksha ke liye adhyyanrat sabhi pratiyogiyo ki avshyakatao ko dhayan me rakhkar pratyek vishay ke aarambh me uski bhumik, paksh aur vipaksh ke akatay tark prastut kiye gaye hai. Pratyek Vaad-Vivad ke ant me us Vishay par adharit sawal-jawab ki suchi di gai hai jo is pustak ko bajar me uplabdh anay pustako se alag karti hai.